Ab ke baras kuch aisa karna…
Apnay guzray 12 mah ke
Dukh sukh ka andaza karna
Guzri yaaden taaza karna
Saada sa ik kagaz lay kar
Apna beeta kal likh laina
Guzra ik ik pal likh laina
Saray dost akhatay karna
Sari subhain hazir karna
Sari shaamein pass bulana
Aur elava in ke dekho…
Ik ik yaad gumaan mein laana
Phir mohtaat qayaas lagana
Gar tau khushian bhar jati hain
Tau phir tum ko meri taraf se
Aanay wala saal mubarik
Aur agar gham bhar jain tau
Mat bekaar takaluf karna
Dekho tau phir aisa karna
Meri khushian tum le laina
Mujh ko apnay gham dey daina
Ab ke baras kuch aisa karna….
———-
Happy New Year
From Vidi
(Thefreesongs.com)